Ticker

6/recent/ticker-posts

5 Smartphone tricks which makes you genius | Tips and Tricks For Smartphone

 

5 mobile tricks you must know:


Hii friends mai aap logo ke liye bahut hi sandar mobile ka tricks lekar aa gya hu. Aaj kal  lagbhag sabke pass smartphone hai. Aaj mai aaplogo ko isi smartphone ka bahut hi important trick batane wala hu jo sayad hi koi janta hoga. 

Trick 1: change video to audio

Dosto aaj kal bahut log hai jo YouTube , Tiktok , Likee or bhi bahut platform pr video bna kr upload karte hai. Jo log video bnate hai or wah kisi movie ya video ka dialogue audio ke form me lena chahte hai to unhe kisi 3rd party app ko install karna padta hai. Mai aapko aisa trick bataunga ki aap ko kissi bhi 3rd party app ko install nhi katna padega. Aap apne mobile phone se hi yah kaam kr sakte hai bahut aasani se.

To dosto kisi bhi video ko audio me change karne ke liye aap uss video ko apne mobile ke file manager me kholiye. Ab uss video ko press kiye rahiye ab aapko Rename ka option dikhega aap us pr click kijiye. Ab aapko us video ka file name dikhega. Aap dhyan se dekhiyega to aapko video ke name ke last me .mp4 dikhega to aap .mp4 ke jagah .mp3 kr dijiye. Ab save kr dijiye. Ab aap dekhenge ki aapka video audio me change ho gya hai. 



Trick 2: Increase your storage

Dosto aaj kal to aaise bahut sare mobile phone aa gye hain jisme storage ki samasya to nhi hota. Lekin phir bhi kissi kissi mobile phone ka ka storage bahut kam ho jata hai. Storage kam ho jane ke wajah se mobile lag karne kagta hai. Isi wajah se mai aapko yah trick batane ja rha hu jisse aapka storage 1 second me 2GB storage khali ho jayega.

Aapko iske liye apne settings ko open karna hai phir about phone me jana hai uske bad storage me jana hai. Ab aap dekhenge ki cached data ka ek option aayega. Aap uspar click karenge to clear cache ka option aayega aap ok kar dijiyega . Ab aap dekhenge ki aapka storage bahut jyada khali ho gya hai. 

Trick 3: use dual apps

Dosto kai log hote hai jo chahte hai ki wah do do WhatsApp, Facebook, Instagram or bhi bahutsare apps ko chalaye. Agar aapko nhi pta ki kissi bhi aap ka clone kaise kare to yah trick aapke bahut kam aayega.

Aaj kal to dual apps ka function to pahle se hi mobile phone me aa jata hai. Aapko usko enable karne ke liye settings me dual app search kare nhi to aap us app pr click kijiye dual app ka option aa jayega. Aap us pr click kr ke dual app on kr sakte hai.


Agar aapke mobile me dual app ka option nhi hai to aap play store Pr dual app search karenge to bahut sare apps aa jayenge Aap kisi ko download kr ke dual aap create kr sakte hai.

Trick 4: Open Developer option

Dosto bahut hi kam log hi iss feature ke bare me jante hai. Iss feature ki madad se kai sare extra function ka use kar sakte hai.yah function mobile phone me pahle se hi nhi rahta hai aapko isko enable karna padta hai.

Iss function ko enable karne ke liye sabse pahle settings kholna hai uske baad  about phone me jana hai phir aapko built number pr 7 bar click karna hai uske bad aapka developer option enable ho jayega. Ab yah option aapko settings me sabse niche dekhne ko mil jayega. Agar nhi dikh rha hai to search kr lijiyega mil jayega.


Aap iss option ki madad se OEM unlocking feature ka use kar sakte hai. Iss feature ki madad se aap kissi external file ko mobile root karne ke liye download kr sakte hai.

Developer option me USB debugging ka feature bhi use kr sakte hai. 

Isi options ka ek important feature hai mobile data always active. Aap iss feature ki madad se jab aap wi-fi se kuchh download kr rahe hai or speed km de rha hai to yah apne aap mobile data pr switch ho jayega phir jab wi-fi ka speed aa jayega to yah option wi-fi pr switch kr dega. Isse aap jo kuchh bhi download kr rhe honge wah jaldi ho jayega.  

Aap developer option me show taps / show touches ka option milega. Isske madad se aap jab bhi screen ko touch karenge to apke touch point pr dot dikhega. Aapko iska use  tb aayega jab aap screen recording kr rhe honge.

Agar aap koi high games ya aap kholte hai or aapka mobile lag karta hai to aapko developer option me force 4x MSAA ka option mil jayega aapko is option ko enable kr dena hai. Ab aap pahle se better experience feel karenge.

Trick 5: change keyboard theme

Aap apne keyboard pr apna photo lga sakte hai ya koi aur bhi theme use kar sakte hai. Apko iske liye keyboard ke settings pr ja kr theme ke option me theme change kr sakte hai



Agar apko yah tips and tricks achha laga to mujhe follow kare or niche diye gye bell icon pr press kr ke notification ke liye allow kr dijiye. Taki jab bhi mai nya post likhu to apke pass notification aa jayega.


Thanks for reading

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ

जोक्स : लेन देन , funny joke, हास्य व्यंग